Ishq Ke Topic Par Shayari
Ishq Shayari |
Ishq, wo ehsaas hai jo insaan ko apni zindagi mein kabhi na kabhi mehsoos hota hai. Yeh ek aisi taqat hai jo dilon ko chhoo jaati hai, aur jise bayan karne ke liye shayari ka sahara liya jaata hai. Ishq ki shayari ek khaas andaaz mein apne jazbaat, khwabon, aur junoon ko vyakt karne ka zariya hai. Is blog post mein hum aapko lekar jaayenge ishq shayari ki dunia mein, jahan aapko milega pyaar, adaaon ki misaal, aur mohabbat ke rangin safar ki kahaniyan. To chaliye, ishq ki duniya mein kho jate hain aur shayari ke is suroor mein doobte hain."
Ishq Shayari
"Ishq Shayari: Pyaar, junoon, aur mohabbat ke rangin ehsaasat ko shayari ke jadoo se bayan karein. Is blog post mein, hum aapko lekar jaayenge ishq shayari ki dunia mein, jahan aapko milega pyaar, adaaon ki misaal, aur mohabbat ke rangin safar ki kahaniyan. Aaiye, ishq ki duniya mein kho jate hain aur shayari ke is suroor mein doobte hain."
Shair Ishq ne Ghalib nekama kar diya Warna hum bhi aadmi thay kaam ke
Mirza Ghalib
Shair Hosh walon ko khabar kya, bekhudi kya cheez hai Ishq kije phir samjhe, zindagi kya cheez hai
Nida Fazli
Shair Sitaron se aage jahan aur bhi hain Abhi ishq ke imtehan aur bhi hain
Allama Iqbal Shair Ishq nazuk mizaj hai be-hadd Aql ka bojh utha nahi sakta
Allama Iqbal
Shair Raah door ishq mein rota hai kya Aage aage dekhiye hota hai kya
Mir Taqi Mir
Shair Koi samjhe to ek baat kahoon Ishq tofiq hai, gunaah nahi
Farhaq Gorakhpuri
Shair Yeh ishq nahi asaan, itna hi samajh lijiye Ek aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai
Jigar Moradabadi Shair Tere ishq ki inteha chahta hoon Meri sadgi dekhi kya chahta hoon
Allama Iqbal
Shair Ishq par zor nahi hai, yeh woh aatish Ghalib Ke lagaaye nah lage aur bujhaaye nah bane
Mirza Ghalib
Shair Kya kaha ishq jaawedani hai! Aakhri baar mili rahi hai kya
Jaun Elia
Shair Aag thay ibtedaye ishq mein hum Ab jo hain khaak inteha hai yeh
Mir Taqi Mir
Shair Maktab-e-ishq ka dastoor niraala dekha Isko chhuti nah mili jisko sabq yaad rahe
Mir Taahir Ali Rezvi
Shair Ishq se tabiyat ne zeest ka maza paaya Dard ki dawa paai, dard be-dawa paaya
Mirza Ghalib
Shair Mere humnafas, mere hamnawa, mujhe dost ban ke dagha na de Main hoon dard-e-ishq se jaan balab, mujhe zindagi ki dua na de
Shakeel Badayuni
Shair Gir baazi ishq ki baazi hai jo chaaho laga do darr kaisa Gir jeet gaye to kya kehna, haare bhi to baazi maat nahi
Faiz Ahmed Faiz
Shair Ishq ek mir bhari patthar hai Kab yeh tujh natwaan se utha hai
Mir Taqi Mir
Shair Kya kahoon tum se main ke kya hai ishq Jaane ka rog hai bala hai ishq
Mir Taqi Mir
Shair Chalne ka hosla nahi, rukna mahal kardiya Ishq ke is safar ne to mujhko nadhal kardiya
Parveen Shakir
Shair Umar to saari kati ishq bataan mein Momin Aakhri waqt mein kya khaak musalman honge
Momin Khan Momin
Shair Ishq ka zauq nazara muft mein badnaam hai Husn khud be-taab hai jalwa dikhaane ke liye
Asrar Ul Haq Majaz
No link, please! Thanks for Being a Guest of My BLOG and Precious FEEDBACK : ) God Bless You. Have a Nice Day